ittefaq


Zara se khayal rkhne lge h zamane ka
Ab hm befikr aur bebak nhi hote
Mere kitaabo ke panne pr kone m khi
Naam likhkr  kaatne ke daag nhi hote
H whi Sahar whi galiya yaaro
Pr shayad ab waise ittefaq nhi hote

@nu$h@

Dil ki baat


,
Zamane Ko hmari kadar nhi to kya
Duniya dari ka hmme hunar nhi to kya
JB Apne hi Tanha chhod gye hme
To parayo Ko meri khabar nhi to kya

@nu$h@

Aaftab


kB tk in Andhero mein kaid krogi mujhe
Mai aaftab hoon Roshan jahan krungi
kB tk in uchaiyon se draogi mujhe
Mai Parinda hoon Naam Apne aasma krungi
Mere raaste m kaanch bn chubhogi mujhe
Tu bn ja aaina Mai chattan bnungi
Mita skti h mujhe tu ek din zindagi
Na mite sadiyo tk Mai wo nishaa bnungi


@nu$h@

buddhu dil


Kabhi koi kisi bewafa pr bhi Aitbaar krta h
Jo lautega nhi kabhi uska bhi intezaar krta h
Kabhi koi ghmo ke liye khushiya nisar krta h
Hr wo Dil itna buddhu hota h
Jo ek Dil se pyar krta h

@nu$h@


naina


Bde Kamal ke ye Naina h 
Jaise koi Aaina h
Kisi khuli kitaabo se h
Bilkul hazirzawab se h
Tu to Khamosh the h
Pr dekho kitna kuch khte h
Jo lafzo to n aa ske
Us ghum Ko bhi bayan kr dete h
Meri khushiyon Ko bhi 
Kha chhupa rhne dete h


@nu$h@

musafir


Mai musafir hoon tere ishq ke raho ki
Tu khwaisho h meri tarasti nigahon ki
Hr muzrim Ko bakshe khuda jis se
 haseen saza h tu mere naadan gunaho ki

Khamakha hi mrte h log Ada- e- husn pr tere
Mai to Kayal hoon tere Masoom adao ki 
Sath chahiye to sirf tera yhi Zid h 
Wrna tanhai hi guzarish h in duaao ki


@nush@
 

tera zikr



 Jis dinTere zikr ne Hothon Ko mere chhuan nhi
Aisa koi din meri zindagi mein hua nhi
Jb bhi jhuke Sajde m manga tujhe
Tere  siva meri  Dil m koi aur dua nhi

Mana ki ishq ka Izhar maine Kiya nhi
Pr sch ye nhi ki Tujhse pyar Kiya nhi
Meri kitaabo m wo surkh gulaab AJ bhi h
Jo layi thi tere liye pr tujhe diya nhi


Yakeen n ho to talash lo Dil 
Mere Dil m koi aur tere Siva nhi
Bde gehre Zakhm h Yaara zindagi ke
Tere ishq ke Siva inki koi dava nhi


@nu$h@





sharminda



Apne sath hone wale gunah k gunehgaar h hm
Aisi soch wale samaz ka bashinda hoon main
Baate kdwi h pr jhoothi nhi h unki 
Ek ladki hone pr sharminda hoon main


Apni naazukata ko  kamzori Maan Liya
In Baaton pr  sharminda hoon main
Khamoshii Ko apni aadt bna Liya
In aadto pr  sharminda hoon main 
Samaz ke tano se bachne ke liye
Apne taur tarike badal liya
In haalato pr  sharminda hoon main
Apne sapno ke liye lade Bina haar Maan Liya
Is kayarta pr  sharminda hoon main


Agar apne bete Ko 
 Ek maa ka aadar krna na sikha payi
To  maa hone pr sharminda hoon main
 Agar apne pita Ko bete aur beti mein
 farq n krna na sikha payi
To beti hone pr sharminda hoon main
Agar  apne bhai Ko 
kisi ki bahan ki raksha krna n sikha payi to
Bahan hone pr  sharminda hoon main
Agar pati Ko Apne
 kisi aurat ki izzat krna n sikha payi to
Patni hone pr sharminda hoon main

Leni hogi zimmedariyan Apne haalato ki hme
Wrna kl apni gltiyon pr Rona hoga
Sharm sikhane Ka auro Ko waqt Shi h
Wrna kl beech baazar hme sharminda hona hoga


@nu$h@






bojh



Ek beti Apne pita pr bojh nhi Hoti
Agr bete ke badle dahej ki soch nhi Hoti 
Zra si Sharm agar sikha dete bete Ko Apne
To Sadko pr sharminda betiyan har Roz nhi hoti

pagal friend




My dear pagal friend 
u r  more complicated than organic 
more annoying than metallurgy
As reactive as fluorine 
bt still my favourite as chemistry


@nu$h@

Sabse Bada Dar

Jiwan ki aashao aur aakanxao se dar lagta h

Musibato aur kathin paristhitiyo se dar lagta h

Is jamaane ki bewajah sikayto se dar lagta h

Bahane h sab aapko karib rakhne ke liye

Pyaar aapka ak tofa h hamare liye

Asliyat me to bas aapke dur hone se dar lagta h

Sone se pahle aawaj na sunu to dar lagta h

Aakhe khule aur aap na mile to dar lagta h



Aashuo ka samandar  pi lete h ham 

Aakho me aapke ho ak bund to dar lagta h

Sikayte ho hajar sine me dafan hamare

Aapki ak ixa puri na ho to dar lagta h

Jaan h aap hamari chaho to jaan lelo

Par aap par kharoch bhi aaye to dar lagta h.

yaado ke panne


Khhak kr diye jala kr teri yaado ke panne 
Ab kitaab-e- zindagi zra adhoori  h
Ek arsa beet gya tera intezaar krte
Ab is mod pr se guzarana  bhi zaroori  h
Tere Laut aane ki umeed m thehre h kbse
Ab Beh jane ki in ashqo Ko manjoori h
Fanaa kr chuke hm khud ko tere liye 
Bas dhadkno ka chalna majboori h


@nu$h@

ishq ka gulaab


Behad qareeb se dekhi thi maut maine 
JB use  paa kar maine  khoya tha
Meri muskurahat ki wajah tha wo
Jiske liye dil tanhai me bhut roya tha
Phir uske sapne n ho aankhon me meri
Is dar se kitni hi rate nhi soya tha
Chubhane to the hi ye kaate ek din
ishq ka gulaab to  Dil ke aangan
 mein maine hi boya tha


@nu$h@


Ek Khat Tere Naam


Jo baten karni thi tumse per keh na saki
kuchh khas  hai Kuchh behad Aam likh rahi hun Hothon pr khamosi h pr andar shor bahut h
 panno pr dil ka kohraam likh rhi hun
Main ek khat  tere Naam Likh Rahi Hoon


 Har lamha tere sath hone ki chahat likhi hai Tujhse dur hone per dard Ka Paigam Likh rahi hun
 Tere khayal se shuru hua  har din likha hai 
teri yadon ke song dhalti hr ek shaam likh rahi hun 
Main Ek Khat Tere Naam Likh Rahi Hoon 


Ishq Ke Khel Mein Har Baithi Dil Tujh pr 
In ashqo Ko us haar ka inaam likh rhi  hun
Tere Rubaru na hone per Dil Ki becheniya likhi hai
Tere Deedar Se milane wali sukun aur aaram likh rahi hun
 Main Ek Khat Tere Naam Likh Rahi Hoon 


Khata -e-ishq mein sirf badnaamiyan milti h  to Sun -o -zamane Main Khud Ko Badnaam likh rahi hun 
Kayal hun mai jiski Ada- e-Khamoshi likhi H
Madhosh hoon jiske Nashe m teri  Baaton ka wo  zaam likh rahi hun
main Ek Khat tere naam Likh Rahi Hoon


 Tere Hi Naam Likhi Hai apni duaon ki zamee Tere Naam pr apne sapno ka aasman likh rahi hun
 Maine kitaabe likh di h tere baare mein
Fir Bhi Khud Ko Tujhse Anjan likh rahi hun
 Mein Ek khat Tere Naam Likh Rahi Hoon

 Tere Bin Guzar jaye in Saanson ki Himmat Kaha
 Tere Intezar Ka ab Anjaam likh rahi hun
 Manzil  Tak pahunch sake Khatoon ki Kismat Kaha
Fir Bhi Ek Aakhri Koshish nakam likh rahi hun Main Ek Khat Tere Naam Likh Rahi Hoon
Main ek khat  tere Naam Likh Rahi Hoon



@nu$h@

happy wali deewali


Jhalaro ki jagmagahat Se Dur Kahin 
Ek Diya Apne khwahishon ka Jala Leti Hun patakhon Ki shor mujhe pasand Nahin  
 To Kahin  koi dhun Zindagi ki gunguna leti hun


apni Berangi aur  Bedhangi  Zindagi se bhut alag
 Kuchh Rang bikhra Rangoli banaa Leti Hun
bazar ki mithaiyan mithii  nhi lagti  ab
 Maa Ki Gujiya hi Main Pyar Se  kha Leti hun 


Mere Dil Ki Udasi Chehre per na chhalke 
 Ek Muskurahat Chehre per chipka Leti hun Kahoon na Kahoon per Kami khalti Hai Mujhe Gam ko Apne dil mein Chhupa Leti hun


Mn jate h tyohar ab status pr sare
Badhaiyan bhi msg mein formality wali h
Ab sath kaha log khushiyan baatne ko
phir bhi aj so called happy Diwali h.



Anusha

nafrat

   

          Zara Soch O Deewane
    Jiski Mohabbat Itni haseen thi 
     Uski Nafrat ka kya kamal hoga 
      Laal Ishq tha mera O sanam 
     Mere badle ka rang bhi lal hoga 
 Khud ko Itna kaabil banaenge znab ki
             Chhod jaane pr hme 
       Ek din Tujhe Bhi malal hoga 


@nu$h@

Talaash


Tu mere pass to nahi
Pr tere hone ka ehsaas hai 
 Taras gai hai rooh meri 
Do boond mohabbat ki pyass hai 
Zamana bhi chhod doon ek pl mein
 Umr bhar  jo tu pass hai 
Tere Deedar  ko tadapte hai main mere
In nazron ko bhi teri Talash hai



@nu$h@

ghar ki yaad😞


Nahin sahi ja rahi khamoshiyan ab 
 O maa main tumse kuchh khna chahta hun Yad aati hai maa mujhe teri bahut 
main tere pass rhna  chahta hun 

Aati nahin hai neend mujhe is thandi ret pr
Tere god ki garmahat mein sona chahta hun Thak gaya hun jhuthi muskan se 
Tere Gale Lag Ji Bhar Kar Rona chahta hun 

Samajhta hun apni  zimmedariyan acche se  
Pr apne Dil Ki kashmqash smjhana chahta hun  Nahin pasand hai mujhe  tumse door rhna
Ghar Ki Yad Kitni Aati Hai 
Main batana chahta hun 

ye do chehron ke Khel se thak Gaya  hun main fir se Khul Ke Muskurana chahta hun 
Tere Hathon Ki Thandi  chhuan chahiye
 Ki Har jakhm Har fikr Bhoolana chahta hun
 
Hq mang raha hun bus apni Khushiyon pr 
main bhi Har tyohar Tere Sath
 manana chahta Hun
 Diwali per Tere Sath Diye jalane Hain
 Holi pr Tere Hathon Ki Gujhiya 
khana chahta hun

 fir se Tujhse bacchon se zid karna chahta hun Teri daat ke bad Pyar ki 
ummeed karna chahta hun
 kya Aati Nahin Kabhi Tujhe Yad Meri
 chote se Sawal ka Jawab Pana chahta hun
 ki aaj Yad bahut aa rahi hai ghar ki
 Main Tere pass Laut Aana chahta hun

beti

गर्भ में पल रही वो नन्ही सी जान
 मतलबी दुनिया की मासूम मेहमान 
चाहती है जीने का हक
 लड़की होने के गुनाह से अनजान

 मार दी जाती है गर्भ में ही
 या जन्म ले ले लेने के दौरान
कातिल दुनिया के मंसूबों से बेखबर 
मांगती है सिर्फ एक जीवनदान 

बेटी बनने से पहले लाद दी जाती है 
पिता पर वह बोझ के समान 
वह खुशियों का काला टीका
 बन जाती है कलंक का निशान

 न जाने कितने रिश्ते नातों से बंधी है
 पर ना अपना वजूद है ना कोई नाम 
रह जाती है ढूंढती वो 
ताउम्र अपनी  ही पहचान

 अथाह और आजाद है 
उसके सपनों का आसमान
 कतर दिए जाते हैं पंख एक दिन
 नहीं भर पाती आजादी की उड़ान 

घर की संपत्ति पूंजी की भांति
 कर दिया जाता है उसका कन्यादान
 ताने भी मिलते हैं और  जिम्मेदारियां भी 
 नहीं मिलता तो बस सम्मान

कभी दहेज के लिए प्रताड़ित होती 
तो कभी देनी पड़ती है जान 
शान मिले जो पूत को जन्मा 
वरना दोहराई जाती है फिर वही  दास्तान 

@nu$h@

intezaar

Tumse hi zindagi gule gulzar h
Milne ko tumse dil bekraar h
Hme tumse mhbt beshumar h
Jb hoge tum samne mere
Naino ko us pl ka intezaar h

Teri tasveer nihar kr aj kl din guzarte h
Aj kl tanhaiyon se bhi bate krte h
Tere khayalo m hi kitaabo ke panne paltate h
N jane kya hua h iss dil ko
Shayad ishq ka bukhar h
In dhadkano ko bhi tera intezaar h


@nu$h@

chaand



Aye khuda main wo Chand banu
Jise dekh ke wo muskuraye
Aur wo ek ehsaas bne
Jo meri zindagi mein m thm sa jaye

                   Khushi

naqaab

Zaam ke paimane se yha
Dard ka hisaab lgta h
Uljhi h zindagi sawalo mein aise
Bs maut hi ab jawab lgta h
Bhool jate h pdhkar jise
Mera kirdar aisi koi kitaab lgta h
Ykeen kis pr kre  hm Yaara
He chehra hi yha naqab lgta h

                                                              @nu$h@

dosti

          
                   Dosti sirf lafz nhi
               khushiyon ka sansar h
              Mil jaye agr dost saccha
               to kamyabi beshumar h
          Dard baatne wale hamdard h
         Aur ye muskurahat ki bahaar h
             Thode ziddi akdoo hi shi
        Pr inke bina to zindagi bekaar h
             Dua mein maangi thi jo
         Dosti khushiyon ki bauchhar h
              Shaan -e- zindagi h dost
            Khwaish -e- aakhiri h dost

kuch rishte


Kuch Rishte Rooh se jud Jaate Hain
Dilon ke darmiyaan inke koi raaz nahin hote
Khamoshiyon mein hi guftgu ho jaati hai inki Inhe  zaroorat-e- alfaaz nahin hote 
Puri umr sath guzarne ki  khwahish hoti hai
 pr duriyon se bhi aitraaz nahi hote
 mukmmal hote hain adhura hokar bhi 
Kuchh Rishte  naam ke mohtaz nahin hote


@nu$h@

rishta


.           Rishta hmara zamee aasma sa h 
              Samne hokar bhi ek doosre ke,
                     milne ko taras jate h
            jb jalti h zameen  judai ke drd mein
       Aasma ki aankhon se ansoo baras jate h


@nu$h@

dard


apne hr dard ko muskuraht m chhipate h hm
Itna kh kr bhi kuch nhi kh pate h hm
Tujhe kho kr bhi sng apne pate h hm
Teri yaad aane pr aj bhi muskurate h hm

@nu$h@

aasoo



Naino se utar kr gire jaye to
Aasoon ye  sirf daag h
Rh jaye agr dil m to
Pani ki do boonde bhi aag h


@nu$h@

khabardar ae dil


Kuch doosro ki galtiyon se bhi sikh le
Khta -e -mhbt ko khud aazmaana nhi
Milte h toote dil hr kadam pr jaha
Un raho pr ae dil tum jana nhi
Lakh umeed chahe baandh lo khud se
Ek bhi umeed kisi aur se lgana nhi
Gr bgawat kee to anzam tmhara bhi yhi hoga
Phir naino se dariya bahana nhi 


@nu$h@

azeeb rishta

Usko pane ki khwaish to nhi h
Pr usko khone se dr lgne lga h
Usse rishta mera kuch bhi nhi 
Wo apna sa mgar lgne lga h
Uske bina ab ek pl bhi
Ek ek umar lgne lga h
Is berahm hakikat ki duniya mein
Wo sapno ka sahar lgne lga h

@nu$h@

dua


Ajnabee shr m purana koi yaar mila h ,
Zindagi ke kisse ko nya kirdar mila,h
Kisi bewafa pr apni dua zaya n kr
Teri duao ko uska asli haqdar mila h

@nu$h@

pehchhan

.           Bhale hi main diye m jal kr,
            roshan aashiyan krti hoon
      Pr bhool mt meri pehchan zamane
                 Hoon main aag hi,
         khaak krne ka hunar rkhti hoon

@nu$h@

Soch


Hai kux buraiya to axaiya bhi h,
Soch me hamari uchaiya bhi h,
Kamyabi kya chij h,
Hoga kadmo me uska basera,
Junnu to itna h ki,
khuda khud puche,
beta kya kar du ab sawera ....

fitrat



       Apno se parda aur gairo se gila nhi krte
                  Kisi ki wafa ke badle
                  Bewafai ka sila nhi krte 
            Apni fitrat hi kuch aisi h znab
    Aankhon m ashq le ghmo se mila nhi krte


@nu$h@

masoom mhbt




Poori organic chemistry smjh m aati h usko
Pr  meredil ka hal smjh nhi pata h
Physics ke sare questions yu solve kr deta h
Pr mera ek seedha  sawal bta nhi pata h
Integration ke sare formule yaad h usko
Pr mera birthday bhul jata h
Bda hi buddhu h yarr mera
Pr uski isi masoomiyat pr mujhe pyar aata h

@nu$h@

Nixawar



Tumpar Jamane bhar ki khushiya nixawar
har dua har mannat nixawar
kisi taklif ko tujh tak na aane denge ham
teri ak muskaan par,
meri har ak saans nixawar.
 💖💗❤️ Love you Sweety.. ❤️💗💖

---$@g@r $ingh

saza-e-ishq

   
           Iski dawa kha kisi ko pta hoti h
              Bdi bedard ishq ki khta hoti h
            Kisi ki dua hi h jo aashiq zinda h
          maut se bdtar ishq ki saza hoti 

@nu$h@

broken heart💔

  

        Dhadkne thami si h aur dil zar zar h
        N kisi se nfrt baki h n kisi se pyar h
        N dil ko bechaini h n hi khi karaar h
           Jb karengi ye saanse bgawat                                      bs uss pl ka intzaar h

Dhokha

 

Ak dil hi to tha aapka hamare paas,
Use bhi kab xina pata hi na chala.
Jamane me kisko apna kahe ab,
Bewafa kab hue aap pata hi na chala...

---$@g@r $ingh

चाहत प्यार की

 




तू जो इजाजत दे, तेरे साथ हो लूँ 

एक बार हा कह दे, सारी खुशियाँ तेरे नाम कर दूं

तू जो हमसफर बन जाए, मेरे यार

सफर की हर कसौटी रंगीन होगी,

जब मंजिल खुद मेरे सफर में मेरे संग होगी ...


---$@g@r $ingh
Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le