khi gum si ho gyi

Bachpan me chhoti si chot se
Aankhon me aa Jane wale aasoon
Papa ki daat ke Baad
Maa ke dular se chehre pr aane wali hasi
Kahi gum si ho gayi 


Maa ke god me sar rkh sone ki aadat
Didi ke gale lg rone ki chahat
Wo Hasti khelti pyari si zindagi
Khi gum si ho gayi 


Dosto ke saath baati gyi
Wo chhoti chhoti baatein
Ruthne manane ki wo
Pyari si  yaadein
Wo yaaro ke saath kee jo Masti
Kahi gum si ho gayi 


Bachpan ki wo befikr si neend
 Khilaune ke liye papa se Zid
Ek lambi si daat ke Baad
Teacher se pyar ki umeed
Khi gum si ho gayi



@nu$h@

 



 
Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le