zaroori tha

Betarteeb si xod deti thi mai cheezein apni
Khoya tumhe to sambhalna sikh gyi hu
Kharch kiye h ehsaas apne doosro pr
Aj khud ko khali paya to bachana sikh gyi hu

Ha giri hu bhut baar ,ghav dukhte bhi h
Pr zindagi ki gadi ko patri pr lana to sikh gyi hu
Doosro ki yaado ko likhne ke liye 
, khud ko mitana janti thi
Ab zara mtlbi si ,khud ko likh rhi hu
Baki sb bhulana sikh gyi hu.


Zaroori tha mera toot jana shayd ,
Ab tinko se aashiya bnana Sikh gyi hu
Zamane ki ty ki gyi hadein nhi manti ab
Hausalo ke pankh failana sikh gyi hu
Meri pehchaan btaye zamane ko hq nhi 
Khud ko talashna aur tarashana bhi sikh gyi hu
Ab kadam mere dare dare se bdhte nhi
Khud ko hr kasauti PR aazmana sikh gyi hu

Nhi rkhti koi sikayat mai dil.me ab
Dil ko khushiyo ka thikana banana sikh gyi hu
Aur ab aankho me bs khwab rhte h
aansun ab aur nhi  h bahana sikh gyi hu





Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le