Showing posts with label friendship poem. Show all posts
Showing posts with label friendship poem. Show all posts

maaf krna ae dost

Kabhi kabhi tujhe yu hi tng krti hoon 
Baate dher sari tere sang krti hoon
Kuch Bura lge to maf kr Dena ae dost
ki sang tere hi mai pure rang me hoti hoon

maaf karna mujhe isliye nahi
ki paxtawa h mujhe
balki isliye ki dubara chidhana h tujhe
fir se aur har baar satana h tujhe.
Roothna h tujhse aur manana h tujhe

Mujhe mujhse bhi zyada samajhne ke liye
Mujhse beintaha sa pyar jatane ke liye
Meri gltiyon pr mujhe daatne ke liye
Meri khamiyon ke saath mujhe apnane ke liye
Shukriya tera alfaazo me kru kaise
Is badkismat Ko khush qismat bnane ke liye




dear friend



Meri khushiya bhi mera Dard bhi
Mera hamsafar mera hmdard bhi
Tere liye Mai khudgarz bhi
Tu meri Zid mera farz bhi


Tera mujhe tng krna. yu bewajah rulana
Udass hote hi meri muskurahat bn Jana
Mere bin bole tera sb samajh jana
Bhut keemati h tera mera yaara


Bebat rooth Jane pr bhi tera manana
Kabhi meri baton pr tera chidh Jana
Lgta h tujhse rishta h koi purana
Zara muskil h yarr tujhko bhulana


Dgabaaz ho zamana ghum nhi
JB tk sang mere mera yarr rhe
Teri meri yaari sadiyo tk
 Bs Aise hi barkaar rhe
Tu hi muskuraye rishta hmara
Khatta meetha sa hmara pyar rhe
Ho dooriyan darmiyaan hmare aitraaz nhi
Bs dilo mein n koi darar rhe


@nu$h@


Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le