Showing posts with label sad poem. Show all posts
Showing posts with label sad poem. Show all posts

q nhi bhul pati Mai tujhe


Jo de jate h naino ko Sukoon
Tu us sapne SA Mila tha mujhe
Jo kho gya tha Kahi bheed me
Tu us Apne SA Mila tha mujhe

Toot gye sare wo ek pl me hi
Jane kitne sang hmne sapne bune the
Jana ki hote h jhoothe sare
Ishq ke SB maine jo kisse sune the

Lamhe sare wo bs yaade bn gyi
Jane kaha wo pl kho gye
Kl tk the tum mera aj mera kl
Pl me kaise beeta kl ho gye

Tha wada Kiya baatne ka hr ghum
Phir Dard  kyu sirf Mila ye mujhe
Gr  bhulana hota h aasan itna
To q nhi bhul pati Mai tujhe





bhut der kr di aane me


Meri Sanson ne ki gustakhi sabr todkr
Mai haar gyi tera intezaar nibhane me
Afsos Tod di tere sath mrne ki kasam maine
Kasar dhadkno ne bhi n chhodi mhbt aazmane me
Kamzor Dil seh n paya use khandar sa dhehta dekh
Ek arsa guzara tha jis aasiya Ko bnane me
Bhatakti rhi dar- b -dar tere aane ki umeed liye
Sjda Kiya dua mangi har ibadatkhane me
Aakhiri khwaish h tujhe gle lga kar rone ki
Sukoon  wo zannat me bhi nhi jo h tujhe gle lgane me
Koi sikwa nhi h bs ek khalish hai dil me
Yaar , bhut der kr di tune aane me 
Bhut der kr di tune aane me

khi gum si ho gyi

Bachpan me chhoti si chot se
Aankhon me aa Jane wale aasoon
Papa ki daat ke Baad
Maa ke dular se chehre pr aane wali hasi
Kahi gum si ho gayi 


Maa ke god me sar rkh sone ki aadat
Didi ke gale lg rone ki chahat
Wo Hasti khelti pyari si zindagi
Khi gum si ho gayi 


Dosto ke saath baati gyi
Wo chhoti chhoti baatein
Ruthne manane ki wo
Pyari si  yaadein
Wo yaaro ke saath kee jo Masti
Kahi gum si ho gayi 


Bachpan ki wo befikr si neend
 Khilaune ke liye papa se Zid
Ek lambi si daat ke Baad
Teacher se pyar ki umeed
Khi gum si ho gayi



@nu$h@

 



 
Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le