Showing posts with label love poem. Show all posts
Showing posts with label love poem. Show all posts

mere khwabo mein rhne wale



Mere khwabo mein rhne wale 
Tum khwabo mein hi rh jao to accha h

Tu ro leta h Dard mein mere
Teri khushiyon mein shamil hoon main
Hoon adhoori jahaan ke liye
Tujhse milkar hi to kaamil hoon main

Itni sari khamiya h mujhme 
Shak h ki tere kaabil hoon main  
Iss beraham matalbi duniya me bhi
Tu kaise itna acccha h 
Mere khwabo mein  rhne wale 
tu khwabo me hi rh jaye to accha hai



Auro ki trh sirf  jaroorat mein
 tu mujhe yaad nhi krta
Kaan kheech gltiya bta deta h 
meri buraiyan mere Baad nhi krta
Jhooth h ye tammanaye sari
Ek tera Arman hi saccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha h


Mere Apne kho gye h apni zindagi m yaara
Ab kisi Ko waqt mere liye kaha milta h
Sikayate aur gile kis kis se kre
In khwaabo me hi mukaammal jaha milta h
Thk gyi hoon khud Ko badl kr auro ke liye 
Ab tu bhi n mujhe aazmaye to acccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

Nafrt hi dastoore zamana h yha
Mhbt ki to muzrim karar zaroor kr diye jaoge
Zurm e ishq ki saza milegi huzur
Phir aashiqo ke Naam pr mashoor kr diye jaoge
Nhi Samajhta tu ab bhi baate Duniyadari ki
Tu bilkul Masoom SA baccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai


Apni zindagi ki uljhno Ko mere Baad rkhta h tu
Kabhi mujhe tera intezaar nhi krna hota
Meri ankahi ansuni baate bhi samjh jata h tu
Har baat ka Tujhse ijhar nhi krna hota
Mere Raaz Ko Dil mein dafan ke leta h
Tujhpe shak kaisa tujhpe Aitbaar saccha h 
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai



Nhi bhati ye jaha e hakikat mujhe
Tu sng Apne khwabo me hi le jaye to accha hai
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

@nush@







Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le