ghar ki yaad😞


Nahin sahi ja rahi khamoshiyan ab 
 O maa main tumse kuchh khna chahta hun Yad aati hai maa mujhe teri bahut 
main tere pass rhna  chahta hun 

Aati nahin hai neend mujhe is thandi ret pr
Tere god ki garmahat mein sona chahta hun Thak gaya hun jhuthi muskan se 
Tere Gale Lag Ji Bhar Kar Rona chahta hun 

Samajhta hun apni  zimmedariyan acche se  
Pr apne Dil Ki kashmqash smjhana chahta hun  Nahin pasand hai mujhe  tumse door rhna
Ghar Ki Yad Kitni Aati Hai 
Main batana chahta hun 

ye do chehron ke Khel se thak Gaya  hun main fir se Khul Ke Muskurana chahta hun 
Tere Hathon Ki Thandi  chhuan chahiye
 Ki Har jakhm Har fikr Bhoolana chahta hun
 
Hq mang raha hun bus apni Khushiyon pr 
main bhi Har tyohar Tere Sath
 manana chahta Hun
 Diwali per Tere Sath Diye jalane Hain
 Holi pr Tere Hathon Ki Gujhiya 
khana chahta hun

 fir se Tujhse bacchon se zid karna chahta hun Teri daat ke bad Pyar ki 
ummeed karna chahta hun
 kya Aati Nahin Kabhi Tujhe Yad Meri
 chote se Sawal ka Jawab Pana chahta hun
 ki aaj Yad bahut aa rahi hai ghar ki
 Main Tere pass Laut Aana chahta hun

6 comments:

  1. I really like ur writting work. Just keep doing it. 👍

    ye kavita dil ko xu gayi.. sach me aansu la diye

    ReplyDelete
  2. This poem dedicated to those who leaves Home for Dreams, Money, Food. They are relate this poem....
    Best poetry

    ReplyDelete
  3. This poem dedicated to those who leaves Home for Dreams, Money, Food. They are relate this poem....
    Best poetry

    ReplyDelete
  4. Heart touching poem, very nice 👍

    ReplyDelete

Newer Post Older Post Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le