Aisi soch wale samaz ka bashinda hoon main
Baate kdwi h pr jhoothi nhi h unki
Ek ladki hone pr sharminda hoon main
Apni naazukata ko kamzori Maan Liya
In Baaton pr sharminda hoon main
Khamoshii Ko apni aadt bna Liya
In aadto pr sharminda hoon main
Samaz ke tano se bachne ke liye
Apne taur tarike badal liya
In haalato pr sharminda hoon main
Apne sapno ke liye lade Bina haar Maan Liya
Is kayarta pr sharminda hoon main
Agar apne bete Ko
Ek maa ka aadar krna na sikha payi
To maa hone pr sharminda hoon main
Agar apne pita Ko bete aur beti mein
farq n krna na sikha payi
To beti hone pr sharminda hoon main
Agar apne bhai Ko
kisi ki bahan ki raksha krna n sikha payi to
Bahan hone pr sharminda hoon main
Agar pati Ko Apne
kisi aurat ki izzat krna n sikha payi to
Patni hone pr sharminda hoon main
Leni hogi zimmedariyan Apne haalato ki hme
Wrna kl apni gltiyon pr Rona hoga
Sharm sikhane Ka auro Ko waqt Shi h
Wrna kl beech baazar hme sharminda hona hoga
@nu$h@
No comments:
Post a Comment