Showing posts with label women upliftment poem. Show all posts
Showing posts with label women upliftment poem. Show all posts

sharminda



Apne sath hone wale gunah k gunehgaar h hm
Aisi soch wale samaz ka bashinda hoon main
Baate kdwi h pr jhoothi nhi h unki 
Ek ladki hone pr sharminda hoon main


Apni naazukata ko  kamzori Maan Liya
In Baaton pr  sharminda hoon main
Khamoshii Ko apni aadt bna Liya
In aadto pr  sharminda hoon main 
Samaz ke tano se bachne ke liye
Apne taur tarike badal liya
In haalato pr  sharminda hoon main
Apne sapno ke liye lade Bina haar Maan Liya
Is kayarta pr  sharminda hoon main


Agar apne bete Ko 
 Ek maa ka aadar krna na sikha payi
To  maa hone pr sharminda hoon main
 Agar apne pita Ko bete aur beti mein
 farq n krna na sikha payi
To beti hone pr sharminda hoon main
Agar  apne bhai Ko 
kisi ki bahan ki raksha krna n sikha payi to
Bahan hone pr  sharminda hoon main
Agar pati Ko Apne
 kisi aurat ki izzat krna n sikha payi to
Patni hone pr sharminda hoon main

Leni hogi zimmedariyan Apne haalato ki hme
Wrna kl apni gltiyon pr Rona hoga
Sharm sikhane Ka auro Ko waqt Shi h
Wrna kl beech baazar hme sharminda hona hoga


@nu$h@






Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le