bewafa ki yaad

N koi sikwa h  hme zamane se
 N kismat  se  hmko Ko ruswai h
Zaroorat kisi aur ki hme kha
Kagaz h  ,Kalam h aur tanhai h
Mehtaab bhi hmse naraz lgta h
 Jo Badh  rhi Andhero ki gehrai h
Dhadkno ki tabiyat zra nasaz h
Ki shayad us bewafa ki yaad aayi h

AJ jashn e Dard manayenge hm
Ki phir Qayamat ki raat aayi h
Jiska zikr krne se drte h hm
Phir Hothon pr uski baat aayi h
Charche honge aj phir uski bewafai ke
Ha aj phir us bewafa ki yaad aayi h


Ek sargoshi phir unhi khayalon ki
Hmare zehn ke qatre qatre pr chayi h
Dilo dimag ki jng me jite koi bhi
Mukarrar ho gyi hmari tabahi h
Ho jaye gr khta koi maaf krna yaaro
AJ zazbaato me doobi roshnai h
Rukhsat kr Liya tha hmne yaado se jiski
Yaaro phir us bewafa ki yaad aayi h


@nu$h@


















Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le