baarish ki boond

 In baarish ki boondo me
N jane kyu tu nazar aata h
Chhod jata h ek pyari tandhan
Inki trh hi jb chhoo ke guzar jata h
Jb hota h aas pass is boond sa
Dil duniya se bekhabar ho jata h
Tera khwab bhi iske jaisa hi h
Zameen pr girte hi bikhar jata h

Jis kadar ye boond patto pr
Waise hi mere dil me tu teher jata h
Hr baar ye baarish mere zehen me
Teri yaado ka basa seher jata h

@nu$h@


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं 
टूट कर गिरते हैं तारे ,आसमान नहीं
टकराकर पर्वतों से दिशा बदलती है हवाएं, तूफान नहीं मुश्किल हालातों से हार मान लेते हैं कायर ,बलवान नहीं




@nu$h@


bewafa ki yaad

N koi sikwa h  hme zamane se
 N kismat  se  hmko Ko ruswai h
Zaroorat kisi aur ki hme kha
Kagaz h  ,Kalam h aur tanhai h
Mehtaab bhi hmse naraz lgta h
 Jo Badh  rhi Andhero ki gehrai h
Dhadkno ki tabiyat zra nasaz h
Ki shayad us bewafa ki yaad aayi h

AJ jashn e Dard manayenge hm
Ki phir Qayamat ki raat aayi h
Jiska zikr krne se drte h hm
Phir Hothon pr uski baat aayi h
Charche honge aj phir uski bewafai ke
Ha aj phir us bewafa ki yaad aayi h


Ek sargoshi phir unhi khayalon ki
Hmare zehn ke qatre qatre pr chayi h
Dilo dimag ki jng me jite koi bhi
Mukarrar ho gyi hmari tabahi h
Ho jaye gr khta koi maaf krna yaaro
AJ zazbaato me doobi roshnai h
Rukhsat kr Liya tha hmne yaado se jiski
Yaaro phir us bewafa ki yaad aayi h


@nu$h@


















ishq





Ek Khoobsurat ehsaas h jo
Dil ke behad pass h jo
Khud Ko bhool kr usko khuda bna Liya
Uske Didar Ko apni dua bna Liya
Kya kahe hm use pta nhi
Pr shayad ise hi ishq khte h



@nu$h@

bhut der kr di aane me


Meri Sanson ne ki gustakhi sabr todkr
Mai haar gyi tera intezaar nibhane me
Afsos Tod di tere sath mrne ki kasam maine
Kasar dhadkno ne bhi n chhodi mhbt aazmane me
Kamzor Dil seh n paya use khandar sa dhehta dekh
Ek arsa guzara tha jis aasiya Ko bnane me
Bhatakti rhi dar- b -dar tere aane ki umeed liye
Sjda Kiya dua mangi har ibadatkhane me
Aakhiri khwaish h tujhe gle lga kar rone ki
Sukoon  wo zannat me bhi nhi jo h tujhe gle lgane me
Koi sikwa nhi h bs ek khalish hai dil me
Yaar , bhut der kr di tune aane me 
Bhut der kr di tune aane me

maaf krna ae dost

Kabhi kabhi tujhe yu hi tng krti hoon 
Baate dher sari tere sang krti hoon
Kuch Bura lge to maf kr Dena ae dost
ki sang tere hi mai pure rang me hoti hoon

maaf karna mujhe isliye nahi
ki paxtawa h mujhe
balki isliye ki dubara chidhana h tujhe
fir se aur har baar satana h tujhe.
Roothna h tujhse aur manana h tujhe

Mujhe mujhse bhi zyada samajhne ke liye
Mujhse beintaha sa pyar jatane ke liye
Meri gltiyon pr mujhe daatne ke liye
Meri khamiyon ke saath mujhe apnane ke liye
Shukriya tera alfaazo me kru kaise
Is badkismat Ko khush qismat bnane ke liye




Alvida 2020



AJ phir ja rha h koi xodkr mujhe
Pr AJ Khushi se Alvida khna h mujhe
Tumne sataya bhut h hr kisi Ko
Pr tumhara shukriya bhi khna h mujhe


Tumhe bhool pana behad mushqil hoga
Buri yado ka khazana ja rhe ho xodkar
Chheen liye kitno ke Apne tumne
Ja rhe ho kitno ke sapne todakr


Bura waqt Bankar aaye the tum zaroor
Pr kux axi aadtein sikha gye
Tanhai se mile to apno ki keemati pta chali
Aur kuch logo ke asli chehre dikha gye 


Kisi khadoos teacher ke jaise hi
Daata, peeta ,aur rulaya tumne
Pr har lamha me zindagi jeena kitna zaroori h
Bhut zaroori path padhaya tumne


Ek rail si bhaagti Zinda thi hmari
ek nanha sa pr theraav laya tumne
Barso Baad Laute honge log gaav Apne
Kux bichde parivaaro Ko milaya tumne


Maine bhut kux khoya tumhari wajah se
Pr shayad khud Ko Paa Liya maine
Bhut sare sawal aur uljhane thi
Bdi fursat se unhe suljha Liya maine

Ye mauka Mila mujhe ek arse baad
JB itna Lamba waqt guzara apno ke saath
Phir se Zid kr payi main baccho ki trh
Laut aayi zhn me bachpan wali yaad

Maaf kr Dena yaaro mujhe
Jo kisi ka Dil dukhaya maine
Bs aise hi ye Bura saal
Muskrakar bitaya maine


Umeed h Nye saal me khushiyon ki Barsaat ho
Zindagi me phir kbhi n 2020 se mulaqat ho






       👋👋👋ALVIDA 2020 👋👋👋👋👋





aksar jb Mai tanha ho jati hoon


Kuch Nye sapne bunti hoon
Kuch purani yade mitaati hoon
Bate Mai khud se khud ki krti hoon
Aksar JB Mai tanha ho jati hoon

Khayalon ke raste chalte chalte
Mai khud Ko dard ki galiyon me pati hoon
Aa jati h jo yaad baate kisi ki
Mai tanhai me bhi muskurati hoon

Wo sare zazbat jo kisi se baate nhi
Bealfaaz hokar Mai SB dohrati hoon
Ye drd e dil sare aam n ho jaye KHI
Mai khamoshi se ise panno me dafanati hoon


Badal nhi skti aur na hi bhool skti hoon
Khud ki lachari pr Mai afsos jatati hoon
Bdi mushqil se khud Ko hausala deti hoon
Phir Nye khwab bunane me lg jati hoon



responsibility not liability


Ye duniya bhi kya kamal krti h
Khudgarzi ki kayam misal krti h
Jis maa baap ki khairiyat n puxi kbhi
Bdi shiddat se uske Daulat ka khayal krti h

Hr  mandir mazare pr dua ki jis aulad ke liye
Budhape me who unko beaulad krti h
Jiski  ungli thaam chalna sikha tha
Unko hi besahara aur lachar krti h


Jo maa Bina soche mamata lutati h hm par
Uski qurbaaniyon ka bhi duniya hisab rkhti h
Jis pita ke pyar ka karzdaar ye taumr h 
Pal pal use pyar ka mohtaaz krti h

Jo maa baap ki dua ki keemati krti nhi
Unki zaydad pr hq ka sawal krti h
Kaise chhod jate h unhe ek lathi ke sahare
Jo inke liye poori zindagi Nihal krte h


Kash maa baap ki duniya kadar krti
Inki Daulat pr nhi Dil pr nazar rkhti
Yu n badh rhe hote vridha ashram agar
Apno sapno ke Sahar me inki thodi jagah rkhti


@nu$h@



khi gum si ho gyi

Bachpan me chhoti si chot se
Aankhon me aa Jane wale aasoon
Papa ki daat ke Baad
Maa ke dular se chehre pr aane wali hasi
Kahi gum si ho gayi 


Maa ke god me sar rkh sone ki aadat
Didi ke gale lg rone ki chahat
Wo Hasti khelti pyari si zindagi
Khi gum si ho gayi 


Dosto ke saath baati gyi
Wo chhoti chhoti baatein
Ruthne manane ki wo
Pyari si  yaadein
Wo yaaro ke saath kee jo Masti
Kahi gum si ho gayi 


Bachpan ki wo befikr si neend
 Khilaune ke liye papa se Zid
Ek lambi si daat ke Baad
Teacher se pyar ki umeed
Khi gum si ho gayi



@nu$h@

 



 

ek tarfa

Mana ki Tujhse mhbt krne ki
Mere dil Ko izzazat nhi h

kisi aur ka muqqadar h tu
 Tu meri Amanat nhi h

Do log nibhate h rishte shayad
Mere ishq Ko teri zaroorat nhi h

Na tujhe khone ka dar h mujhe
Aur tujhe pane ki chahat nhi h

Khuda se phle sjda krti hoon  tera
Kaise kahu ishq mera ibadat nhi h

Ek tarfa hi shi pr sach ye nhi
Ki muqammal meri mhbt nhi h

@nu$h@





dgaa

Gairo se kya Gila kre hm
Hm to apno se haare h 
Jo baat gye Dil tukdo me
Wo Dil ke tukde hmare h

Jinse Wafa mangi thi
Dhokha wo bewafa de gye
Hmne to mhbt chahi thi
Wo nafarat ka tohfa de gye

Hm dhoondhte the Dushman khi
Mere yaar hi mujhe dga de gye
Hmne to kbhi thaga nhi unhe
shayad sacchi yaari ki saza de gye

Muskura kar de dete hm Jaan apni
Jo ek data hmse maang lete
Kusoor tumhara bhi kya tha
Agar dost sachhe hote hm
To tumhari aankhon se phchaan lete


@nu$h@


पीहर छोड़ मेरी बन्नो

 
पीहर छोड़ मेरी बन्नो
 अपने ससुराल चली 
अपना आंगन छोड़ चिड़िया 
किसी और घर संसार चली

जहां कल तक शहनाई थी
 उसे सुने पन  का एहसास दे गई
 मां पापा को ही नहीं
मेघों को भी आंसू की बरसात दे गई

 जिस घर लड़ियां जगमगाती थी
 अजीब अंधेरे की रात दे गई 
कोने में गूंजती थी हंसी ठिठोली 
गहरी चुप्पी की कोई बात दे  गई 

मेहंदी की महक हल्दी का रंग
अपने साथ ले गई
मां का प्यार और दुआ
 पिता का आशीर्वाद ले गई
काश कह पाती तुझे की लौट आ मेरी   बन्नो
 पर पैरों में रिश्तो की बेड़ियां बांध ले गई

 पिता तो अब भी तेरा नाम पुकारता है
 पर तेरे दौड़ के चले आने की 
उम्मीद नहीं बस याद बाकी है 
तू तो छोड़ चली हमें 
तन्हाइयों का साथ बाकी है 
 मुस्कुराहटें तो तू ले गई साथ अपने 
अब तो बस आंसू की बरसात बाकी है


@nu$h@

kitaab-e-mhbt


 kitaab-  e- mhbt me maine
Hr panne pr tera Naam likha h

Chnd Alfaaz hi h isme Khushi ke
Hr shayari me Dard beintaha h

Shayad barse h kisi ke zazbat is pr
Hr Panna hi bheega bheega sa h

Likha h ishq ko ibadate khuda khi
KHI ishq Ko dard ka dariya kaha h

Kisi pnne pr dafn h surkh gulab
To kisi pr yaado Ko dafan kiya h

Ishq me khud Ko fanaa ke baitha
Aise kisi deewane ki Prem dastan h











kya ruk nhi skte



Kya Ruk nhi sakte tum thodi der aur
Jee bhar ke tumko Nihar Lene do
Tehar jao kuch pl ke liye, guzarish h
Kl shayad phir humse milo n milo
Bhut tarse h tumhare Deedar Ko ye
Mere naino ko thoda karar Lene do
Alvida kh doongi tumhe muskrakar
Zindagi Ko ek pl me guzar Lene do




@nu$h@

पुस्तकें

कहते हैं पुस्तकें ज्ञान देती है
 मैं कहती हूं पुस्तकें साथ देती हैं
 जीवन के हर पड़ाव में
 सुख और दुख के बहाव में 


 पुस्तके  जीवन का ज्ञान देती हैं
 हमें अपनी  पहचान देती है
 हर प्रश्न का हल देती है
 हमारा आज हमारा कल देती है 

सबसे अलग इनकी दुनिया में
 कई गहरे राज होते हैं 
कुछ  धुंधले से तो
 कुछ बिल्कुल साफ होते हैं

 इनमें कवि की कल्पना
 लेखक के दिल के भाव होते हैं
 इसीलिए तो कुछ निर्जीव शब्दों के 
इतने गहरे घाव होते हैं  

यह शब्द यूं तो कुछ ग़ज़ल बनाते हैं
अपने सपनों कल्पनाओं  एक महल बनाते हैं

puxungi nhi



JB mhbt bepanah bewajah ki tumse
To Dil todne ki wajah puxungi nhi
Kyu ja rhe ho chhod kar puccha nhi
To kiske pass ja rhe ho main puxungi nhi
Mayne nhi rkhte ab jawab jiske
Ab wo bematalb ke sawal Mai puxungi nhi
Marham lga nhi skte ghav pr jiske
Us zakhmi Dil ka hal main puxungi nhi


@nu$h@

school wale dost


Kuch pagal se hai ye pal
Kuch acche kuch bure h
N Jane kya hoga kal
Pr inke Bina hm adhoore h

Kuch yaari h kuch Duniyadari h
Kuch sararte h kuch imandaari h
Pr sbko yha pagalpan ki beemari h
Beshak ye Dosti hme bhut pyari h

Kuch rulate h kuch chup Krane aate h
Kuch jhagadate h to kuch hsate h
Kbhi bhut tang krte h chidhaate h
Pr lunch time m khana cheen kr khate h

Pange senior se Lene ho,
Ya junior Ko datna ho 
Class unity ke nam pr sb sath ho jate h
Kbhi teachers ke to kbhi monitor ke
Ye azeeb se khufiya naam bnate h


Ye pagal ,akdoo, Ziddi se log
Jo bematalb ki baatein bnate h
Ye jinhe zindagi ka matlb hi nhi pta
Sahi mayne me hme zindagi jeena sikhate h
Is jaha ki bandishe nhi mante h jo
Kisi azaad parinde sa udna sikhate h
Yakeen nhi aata pr sach yhi h
Ye school wale dost bhut yaad aate h


@nu$h@
















qissa -e- mhbt

Tanha raho se guzrte huye
Ek aznabee se mulaqat huyi
Nami si thi in hawao me
Phir halki si Barsaat huyi
Kuch kisse sune Dosti ke bhi
Kuch mhbt ki bhi baat huyi
Pr juda huyi manzile kuch is kadar
Ki rahe phir kabhi n sath huyi


Takra gyi h rahe phir ek mod pr aakar
Ek arse baad phir ek waisi hi mulaqat huyi
Nami aj bhi thi pr aankhon m dono ke
Naino se dard ki phir whi Barsaat huyi
Pr aj Alfaaz nhi the hal- e -dil baya krne Ko
AJ sirf khamoshiyo se baat huyi
Waqt ki baarisho ne mita di thi sikayate sari
Ishq ke qisse ki ek nayi shuruaat huyi


@nu$h@









Jane do





Uske Jane ka ghum hm mnaye kya
Wo chala gya phle yakeen to aane do

Zara dhundhala gyi h nzre meri
Aankhon se tasveer uski beh to jaane do

Mere aah pr wah ki hsrate kr lena pooriq
Sabr kro Dil Ko toot ke bikhar to Jane do

Bs itna raham krna ae zaalim zamane mujhpr
Jaan le lo meri pr Jaan Ko meri jaane do




@nu$h@

Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le