Jane do





Uske Jane ka ghum hm mnaye kya
Wo chala gya phle yakeen to aane do

Zara dhundhala gyi h nzre meri
Aankhon se tasveer uski beh to jaane do

Mere aah pr wah ki hsrate kr lena pooriq
Sabr kro Dil Ko toot ke bikhar to Jane do

Bs itna raham krna ae zaalim zamane mujhpr
Jaan le lo meri pr Jaan Ko meri jaane do




@nu$h@

Safar sapno tk ka


Aasan nhi h ye Safar sapno tak ka 
Kbhi thokar lgegi kbhi girna hoga

Mushikle intezaar me h tumhare
Kbhi auro se kbhi khud se bhi ldna hoga

Aandhi tufan ho ya samne chattan ho
Bina thame aage bdhana hoga

Jeet mile ya haar mile Safar m tumhe
Kdam kbhi pixe n hatana hoga

Chheen lega ye safar tumse bhut kux
Hr mod pr Manzil ki keemat chukana hoga

Kbhi jawab de jayegi himmat tumhari 
Bs do kadam aur shi khkr khud ko uthana hoga

Pr khud pr  itna yakeen rkhna o musafir
Tumhe tumhara Manzil to pahuchane
Us khuda Ko bhi Zameen par aana hoga


@nu$h@




happy marriage Anniversary💑


Zindagi ki rah me dhoop m aur chhav m
Yu hi ek dooje ka sath nibhate rhna 
Ho chahe ghum kitne bhi zindagi 
Aise hmesa aap dono muskurate rhna
Dooriyan h shayad chnd Milo ki
 Pr Dil ki nzdikiya badhate rhna
Sari kaynat ki khushiya Naam aapke ho
Khuda is rishte pr rhmat barsaate rhna
Ye to bs phla saal h , dua h meri
Aise hi bhut sari varshganth mante rhna


  💑 Have a blissful and happy life together 💑



dear friend



Meri khushiya bhi mera Dard bhi
Mera hamsafar mera hmdard bhi
Tere liye Mai khudgarz bhi
Tu meri Zid mera farz bhi


Tera mujhe tng krna. yu bewajah rulana
Udass hote hi meri muskurahat bn Jana
Mere bin bole tera sb samajh jana
Bhut keemati h tera mera yaara


Bebat rooth Jane pr bhi tera manana
Kabhi meri baton pr tera chidh Jana
Lgta h tujhse rishta h koi purana
Zara muskil h yarr tujhko bhulana


Dgabaaz ho zamana ghum nhi
JB tk sang mere mera yarr rhe
Teri meri yaari sadiyo tk
 Bs Aise hi barkaar rhe
Tu hi muskuraye rishta hmara
Khatta meetha sa hmara pyar rhe
Ho dooriyan darmiyaan hmare aitraaz nhi
Bs dilo mein n koi darar rhe


@nu$h@


broken but beautiful



Us se zindagi bhar ka sath manga tha
Bekhayali m bhi wo Apne khayalat de gya

KHI rh n jaye baarishe adhoori meri 
Jate jate  mere naino ko wo Barsaat de gya

Ek arsa guzar gya pr zahn se utra nhi
Yaado ki n Jane kaun si saugat de gya

Zikr Kiya tha mhbt ki nishani ka ek din
Qured kr Dil wo aise zkhmaat de gya

Mere hisse ki sari khushiyan uski huyi
Mere Naam pr Dard ke sare lamhaat de gya

N lgana kisi se Dil phir kbhi 
Jate jate mujhe sabak-e-hayat de gya

Bayan krna mushkil h lafzon m
Dil Ko bde uljhe se zazbaat de gya

Kaun khta h wo  Fanaa kr gya hme
Toota pr Khoobsurat dil mere hath de gya




@nu$h@

 

bate ishq ki



Kabhi sard subaho ki meethi  dhoop sa h tu 
Kbhi tandhi Hawaa ka  jhhokha lagta h
Kbhi lgta h tu h zindagi ki hakikat meri
Kbhi tu sirf alfaazon ka Dhokha lgta h

@nu$h@

zameen aasman



Hm Zameen Aasma nhi kyuki
 wo bhi mil jate h kshitiz pr
Hm aasoon muskan nhi
 wo bhi sath hote h kisi pl 
Hm kaate phool bhi nhi
 wo bhi hote h gulab mein
Hm aine ke do tukde h
 jo judkr bhi chehra do dikhate h

@nu$h@

koshish




Khoobsurat Manzilo ke raste aasan nhi hote 
Ret ki neenv pr uche Makan nhi hote
Dil m umeed rkh aur koshish krte rh Yaara
Koshish krne wale kbhi Nakam nhi hote


@nu$h@

ittefaq


Zara se khayal rkhne lge h zamane ka
Ab hm befikr aur bebak nhi hote
Mere kitaabo ke panne pr kone m khi
Naam likhkr  kaatne ke daag nhi hote
H whi Sahar whi galiya yaaro
Pr shayad ab waise ittefaq nhi hote

@nu$h@

Dil ki baat


,
Zamane Ko hmari kadar nhi to kya
Duniya dari ka hmme hunar nhi to kya
JB Apne hi Tanha chhod gye hme
To parayo Ko meri khabar nhi to kya

@nu$h@

Aaftab


kB tk in Andhero mein kaid krogi mujhe
Mai aaftab hoon Roshan jahan krungi
kB tk in uchaiyon se draogi mujhe
Mai Parinda hoon Naam Apne aasma krungi
Mere raaste m kaanch bn chubhogi mujhe
Tu bn ja aaina Mai chattan bnungi
Mita skti h mujhe tu ek din zindagi
Na mite sadiyo tk Mai wo nishaa bnungi


@nu$h@

buddhu dil


Kabhi koi kisi bewafa pr bhi Aitbaar krta h
Jo lautega nhi kabhi uska bhi intezaar krta h
Kabhi koi ghmo ke liye khushiya nisar krta h
Hr wo Dil itna buddhu hota h
Jo ek Dil se pyar krta h

@nu$h@


naina


Bde Kamal ke ye Naina h 
Jaise koi Aaina h
Kisi khuli kitaabo se h
Bilkul hazirzawab se h
Tu to Khamosh the h
Pr dekho kitna kuch khte h
Jo lafzo to n aa ske
Us ghum Ko bhi bayan kr dete h
Meri khushiyon Ko bhi 
Kha chhupa rhne dete h


@nu$h@

musafir


Mai musafir hoon tere ishq ke raho ki
Tu khwaisho h meri tarasti nigahon ki
Hr muzrim Ko bakshe khuda jis se
 haseen saza h tu mere naadan gunaho ki

Khamakha hi mrte h log Ada- e- husn pr tere
Mai to Kayal hoon tere Masoom adao ki 
Sath chahiye to sirf tera yhi Zid h 
Wrna tanhai hi guzarish h in duaao ki


@nush@
 

tera zikr



 Jis dinTere zikr ne Hothon Ko mere chhuan nhi
Aisa koi din meri zindagi mein hua nhi
Jb bhi jhuke Sajde m manga tujhe
Tere  siva meri  Dil m koi aur dua nhi

Mana ki ishq ka Izhar maine Kiya nhi
Pr sch ye nhi ki Tujhse pyar Kiya nhi
Meri kitaabo m wo surkh gulaab AJ bhi h
Jo layi thi tere liye pr tujhe diya nhi


Yakeen n ho to talash lo Dil 
Mere Dil m koi aur tere Siva nhi
Bde gehre Zakhm h Yaara zindagi ke
Tere ishq ke Siva inki koi dava nhi


@nu$h@





sharminda



Apne sath hone wale gunah k gunehgaar h hm
Aisi soch wale samaz ka bashinda hoon main
Baate kdwi h pr jhoothi nhi h unki 
Ek ladki hone pr sharminda hoon main


Apni naazukata ko  kamzori Maan Liya
In Baaton pr  sharminda hoon main
Khamoshii Ko apni aadt bna Liya
In aadto pr  sharminda hoon main 
Samaz ke tano se bachne ke liye
Apne taur tarike badal liya
In haalato pr  sharminda hoon main
Apne sapno ke liye lade Bina haar Maan Liya
Is kayarta pr  sharminda hoon main


Agar apne bete Ko 
 Ek maa ka aadar krna na sikha payi
To  maa hone pr sharminda hoon main
 Agar apne pita Ko bete aur beti mein
 farq n krna na sikha payi
To beti hone pr sharminda hoon main
Agar  apne bhai Ko 
kisi ki bahan ki raksha krna n sikha payi to
Bahan hone pr  sharminda hoon main
Agar pati Ko Apne
 kisi aurat ki izzat krna n sikha payi to
Patni hone pr sharminda hoon main

Leni hogi zimmedariyan Apne haalato ki hme
Wrna kl apni gltiyon pr Rona hoga
Sharm sikhane Ka auro Ko waqt Shi h
Wrna kl beech baazar hme sharminda hona hoga


@nu$h@






bojh



Ek beti Apne pita pr bojh nhi Hoti
Agr bete ke badle dahej ki soch nhi Hoti 
Zra si Sharm agar sikha dete bete Ko Apne
To Sadko pr sharminda betiyan har Roz nhi hoti

pagal friend




My dear pagal friend 
u r  more complicated than organic 
more annoying than metallurgy
As reactive as fluorine 
bt still my favourite as chemistry


@nu$h@

Sabse Bada Dar

Jiwan ki aashao aur aakanxao se dar lagta h

Musibato aur kathin paristhitiyo se dar lagta h

Is jamaane ki bewajah sikayto se dar lagta h

Bahane h sab aapko karib rakhne ke liye

Pyaar aapka ak tofa h hamare liye

Asliyat me to bas aapke dur hone se dar lagta h

Sone se pahle aawaj na sunu to dar lagta h

Aakhe khule aur aap na mile to dar lagta h



Aashuo ka samandar  pi lete h ham 

Aakho me aapke ho ak bund to dar lagta h

Sikayte ho hajar sine me dafan hamare

Aapki ak ixa puri na ho to dar lagta h

Jaan h aap hamari chaho to jaan lelo

Par aap par kharoch bhi aaye to dar lagta h.

yaado ke panne


Khhak kr diye jala kr teri yaado ke panne 
Ab kitaab-e- zindagi zra adhoori  h
Ek arsa beet gya tera intezaar krte
Ab is mod pr se guzarana  bhi zaroori  h
Tere Laut aane ki umeed m thehre h kbse
Ab Beh jane ki in ashqo Ko manjoori h
Fanaa kr chuke hm khud ko tere liye 
Bas dhadkno ka chalna majboori h


@nu$h@

Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le