q nhi bhul pati Mai tujhe


Jo de jate h naino ko Sukoon
Tu us sapne SA Mila tha mujhe
Jo kho gya tha Kahi bheed me
Tu us Apne SA Mila tha mujhe

Toot gye sare wo ek pl me hi
Jane kitne sang hmne sapne bune the
Jana ki hote h jhoothe sare
Ishq ke SB maine jo kisse sune the

Lamhe sare wo bs yaade bn gyi
Jane kaha wo pl kho gye
Kl tk the tum mera aj mera kl
Pl me kaise beeta kl ho gye

Tha wada Kiya baatne ka hr ghum
Phir Dard  kyu sirf Mila ye mujhe
Gr  bhulana hota h aasan itna
To q nhi bhul pati Mai tujhe





mere khwabo mein rhne wale



Mere khwabo mein rhne wale 
Tum khwabo mein hi rh jao to accha h

Tu ro leta h Dard mein mere
Teri khushiyon mein shamil hoon main
Hoon adhoori jahaan ke liye
Tujhse milkar hi to kaamil hoon main

Itni sari khamiya h mujhme 
Shak h ki tere kaabil hoon main  
Iss beraham matalbi duniya me bhi
Tu kaise itna acccha h 
Mere khwabo mein  rhne wale 
tu khwabo me hi rh jaye to accha hai



Auro ki trh sirf  jaroorat mein
 tu mujhe yaad nhi krta
Kaan kheech gltiya bta deta h 
meri buraiyan mere Baad nhi krta
Jhooth h ye tammanaye sari
Ek tera Arman hi saccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha h


Mere Apne kho gye h apni zindagi m yaara
Ab kisi Ko waqt mere liye kaha milta h
Sikayate aur gile kis kis se kre
In khwaabo me hi mukaammal jaha milta h
Thk gyi hoon khud Ko badl kr auro ke liye 
Ab tu bhi n mujhe aazmaye to acccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

Nafrt hi dastoore zamana h yha
Mhbt ki to muzrim karar zaroor kr diye jaoge
Zurm e ishq ki saza milegi huzur
Phir aashiqo ke Naam pr mashoor kr diye jaoge
Nhi Samajhta tu ab bhi baate Duniyadari ki
Tu bilkul Masoom SA baccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai


Apni zindagi ki uljhno Ko mere Baad rkhta h tu
Kabhi mujhe tera intezaar nhi krna hota
Meri ankahi ansuni baate bhi samjh jata h tu
Har baat ka Tujhse ijhar nhi krna hota
Mere Raaz Ko Dil mein dafan ke leta h
Tujhpe shak kaisa tujhpe Aitbaar saccha h 
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai



Nhi bhati ye jaha e hakikat mujhe
Tu sng Apne khwabo me hi le jaye to accha hai
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

@nush@







wo kaisa pyar



Yaaro pyar to wo hota h n Jo zindagi ko khoobsurat bnaye
Jo zindagi hi cheen le wo kaisa pyar
Pyar wo h Jo khushiyo ke rang bhar de
Jo dard bn til til tadpaye wo kaisa pyar
Pyar to qurbani ka naam h n
Kisi ko pane ki zid bn jaye wo kaisa pyar
Maa baap rishtedar apno ko chhodkar
Sirf ek insan se nibhaya jaye wo kaisa pyar
Pyar to zamane bhar se ldne ki takat deta h
Jo tumhe itna kamzor bnaye wo kaisa pyar
Pyar  to wo h Jo sahi raste dikhata h 
Jo galat kadam uthane pr uksaye wo kaisa pyar


Apni jaan qurban krne se nhi drte log
 Kaise pyar kisi ko itna junooni bna deta h 
Masoom zazbato ka kaatil h wo ishq
Jo ishq kisi ko apna hi khooni bna deta h










nafrat


Itne kaabil banenge ki 
Pachhataoge hme thukrane pr
Nazre bhi n mila paoge hmse takrane pr
Dekhege ye zamana bhi ki kya hota h
Jb mhbt kene wale utarte h nafrat nibhane pr

kagaz ki kashti


Mai kagaz ki kashti koi
Tu baarish ka pani h
Mai ek kirdaar hoon teri
Tu meri hi kahani h

Mai hoon ek boond jiska
Ishq ka samander h tu
Mai hoon Kori kagaz si
Mera muqqadar h tu


@nu$h@






wada


Yu hi hath thame tera mai chalungi umr bhar
 znmo tk ke liye teri bn jaungi hmasafar 
Kbhi nhi todungi wada jo tujhko diya 
Nibhaungi chahe khud jaun  Mai bikhar





@nu$h@

zindagani

Nirasha ki is andheri duniya me
Umeed ki roshni jagani h
Ghum ki gehrai tak
Ek muskurahat pahuchani h
Yhi zindagani h


Gir kar uthana hoga
Agar manzil jo pani h
Udaan ki uchai ki nhi
Kaatar pankho ki kahani h
Yhi zindagani h


Jise chah bulandiyo ki thi
Aur khauf tha rasto ka
Uske sangharsho ka fasana 
Us rahi ki zubani h
Yhi zindagani h



ye ishq kya h



Ye ishq kya h kisko pata h
Koi khata h koi ya koi saza h
Mukammal h ye phir bhi adhoora h
Koi dua h ya khud hi khuda h






@nu$h@

baarish ki boond

 In baarish ki boondo me
N jane kyu tu nazar aata h
Chhod jata h ek pyari tandhan
Inki trh hi jb chhoo ke guzar jata h
Jb hota h aas pass is boond sa
Dil duniya se bekhabar ho jata h
Tera khwab bhi iske jaisa hi h
Zameen pr girte hi bikhar jata h

Jis kadar ye boond patto pr
Waise hi mere dil me tu teher jata h
Hr baar ye baarish mere zehen me
Teri yaado ka basa seher jata h

@nu$h@


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं 
टूट कर गिरते हैं तारे ,आसमान नहीं
टकराकर पर्वतों से दिशा बदलती है हवाएं, तूफान नहीं मुश्किल हालातों से हार मान लेते हैं कायर ,बलवान नहीं




@nu$h@


bewafa ki yaad

N koi sikwa h  hme zamane se
 N kismat  se  hmko Ko ruswai h
Zaroorat kisi aur ki hme kha
Kagaz h  ,Kalam h aur tanhai h
Mehtaab bhi hmse naraz lgta h
 Jo Badh  rhi Andhero ki gehrai h
Dhadkno ki tabiyat zra nasaz h
Ki shayad us bewafa ki yaad aayi h

AJ jashn e Dard manayenge hm
Ki phir Qayamat ki raat aayi h
Jiska zikr krne se drte h hm
Phir Hothon pr uski baat aayi h
Charche honge aj phir uski bewafai ke
Ha aj phir us bewafa ki yaad aayi h


Ek sargoshi phir unhi khayalon ki
Hmare zehn ke qatre qatre pr chayi h
Dilo dimag ki jng me jite koi bhi
Mukarrar ho gyi hmari tabahi h
Ho jaye gr khta koi maaf krna yaaro
AJ zazbaato me doobi roshnai h
Rukhsat kr Liya tha hmne yaado se jiski
Yaaro phir us bewafa ki yaad aayi h


@nu$h@


















ishq





Ek Khoobsurat ehsaas h jo
Dil ke behad pass h jo
Khud Ko bhool kr usko khuda bna Liya
Uske Didar Ko apni dua bna Liya
Kya kahe hm use pta nhi
Pr shayad ise hi ishq khte h



@nu$h@

bhut der kr di aane me


Meri Sanson ne ki gustakhi sabr todkr
Mai haar gyi tera intezaar nibhane me
Afsos Tod di tere sath mrne ki kasam maine
Kasar dhadkno ne bhi n chhodi mhbt aazmane me
Kamzor Dil seh n paya use khandar sa dhehta dekh
Ek arsa guzara tha jis aasiya Ko bnane me
Bhatakti rhi dar- b -dar tere aane ki umeed liye
Sjda Kiya dua mangi har ibadatkhane me
Aakhiri khwaish h tujhe gle lga kar rone ki
Sukoon  wo zannat me bhi nhi jo h tujhe gle lgane me
Koi sikwa nhi h bs ek khalish hai dil me
Yaar , bhut der kr di tune aane me 
Bhut der kr di tune aane me

maaf krna ae dost

Kabhi kabhi tujhe yu hi tng krti hoon 
Baate dher sari tere sang krti hoon
Kuch Bura lge to maf kr Dena ae dost
ki sang tere hi mai pure rang me hoti hoon

maaf karna mujhe isliye nahi
ki paxtawa h mujhe
balki isliye ki dubara chidhana h tujhe
fir se aur har baar satana h tujhe.
Roothna h tujhse aur manana h tujhe

Mujhe mujhse bhi zyada samajhne ke liye
Mujhse beintaha sa pyar jatane ke liye
Meri gltiyon pr mujhe daatne ke liye
Meri khamiyon ke saath mujhe apnane ke liye
Shukriya tera alfaazo me kru kaise
Is badkismat Ko khush qismat bnane ke liye




Alvida 2020



AJ phir ja rha h koi xodkr mujhe
Pr AJ Khushi se Alvida khna h mujhe
Tumne sataya bhut h hr kisi Ko
Pr tumhara shukriya bhi khna h mujhe


Tumhe bhool pana behad mushqil hoga
Buri yado ka khazana ja rhe ho xodkar
Chheen liye kitno ke Apne tumne
Ja rhe ho kitno ke sapne todakr


Bura waqt Bankar aaye the tum zaroor
Pr kux axi aadtein sikha gye
Tanhai se mile to apno ki keemati pta chali
Aur kuch logo ke asli chehre dikha gye 


Kisi khadoos teacher ke jaise hi
Daata, peeta ,aur rulaya tumne
Pr har lamha me zindagi jeena kitna zaroori h
Bhut zaroori path padhaya tumne


Ek rail si bhaagti Zinda thi hmari
ek nanha sa pr theraav laya tumne
Barso Baad Laute honge log gaav Apne
Kux bichde parivaaro Ko milaya tumne


Maine bhut kux khoya tumhari wajah se
Pr shayad khud Ko Paa Liya maine
Bhut sare sawal aur uljhane thi
Bdi fursat se unhe suljha Liya maine

Ye mauka Mila mujhe ek arse baad
JB itna Lamba waqt guzara apno ke saath
Phir se Zid kr payi main baccho ki trh
Laut aayi zhn me bachpan wali yaad

Maaf kr Dena yaaro mujhe
Jo kisi ka Dil dukhaya maine
Bs aise hi ye Bura saal
Muskrakar bitaya maine


Umeed h Nye saal me khushiyon ki Barsaat ho
Zindagi me phir kbhi n 2020 se mulaqat ho






       👋👋👋ALVIDA 2020 👋👋👋👋👋





aksar jb Mai tanha ho jati hoon


Kuch Nye sapne bunti hoon
Kuch purani yade mitaati hoon
Bate Mai khud se khud ki krti hoon
Aksar JB Mai tanha ho jati hoon

Khayalon ke raste chalte chalte
Mai khud Ko dard ki galiyon me pati hoon
Aa jati h jo yaad baate kisi ki
Mai tanhai me bhi muskurati hoon

Wo sare zazbat jo kisi se baate nhi
Bealfaaz hokar Mai SB dohrati hoon
Ye drd e dil sare aam n ho jaye KHI
Mai khamoshi se ise panno me dafanati hoon


Badal nhi skti aur na hi bhool skti hoon
Khud ki lachari pr Mai afsos jatati hoon
Bdi mushqil se khud Ko hausala deti hoon
Phir Nye khwab bunane me lg jati hoon



responsibility not liability


Ye duniya bhi kya kamal krti h
Khudgarzi ki kayam misal krti h
Jis maa baap ki khairiyat n puxi kbhi
Bdi shiddat se uske Daulat ka khayal krti h

Hr  mandir mazare pr dua ki jis aulad ke liye
Budhape me who unko beaulad krti h
Jiski  ungli thaam chalna sikha tha
Unko hi besahara aur lachar krti h


Jo maa Bina soche mamata lutati h hm par
Uski qurbaaniyon ka bhi duniya hisab rkhti h
Jis pita ke pyar ka karzdaar ye taumr h 
Pal pal use pyar ka mohtaaz krti h

Jo maa baap ki dua ki keemati krti nhi
Unki zaydad pr hq ka sawal krti h
Kaise chhod jate h unhe ek lathi ke sahare
Jo inke liye poori zindagi Nihal krte h


Kash maa baap ki duniya kadar krti
Inki Daulat pr nhi Dil pr nazar rkhti
Yu n badh rhe hote vridha ashram agar
Apno sapno ke Sahar me inki thodi jagah rkhti


@nu$h@



khi gum si ho gyi

Bachpan me chhoti si chot se
Aankhon me aa Jane wale aasoon
Papa ki daat ke Baad
Maa ke dular se chehre pr aane wali hasi
Kahi gum si ho gayi 


Maa ke god me sar rkh sone ki aadat
Didi ke gale lg rone ki chahat
Wo Hasti khelti pyari si zindagi
Khi gum si ho gayi 


Dosto ke saath baati gyi
Wo chhoti chhoti baatein
Ruthne manane ki wo
Pyari si  yaadein
Wo yaaro ke saath kee jo Masti
Kahi gum si ho gayi 


Bachpan ki wo befikr si neend
 Khilaune ke liye papa se Zid
Ek lambi si daat ke Baad
Teacher se pyar ki umeed
Khi gum si ho gayi



@nu$h@

 



 

ek tarfa

Mana ki Tujhse mhbt krne ki
Mere dil Ko izzazat nhi h

kisi aur ka muqqadar h tu
 Tu meri Amanat nhi h

Do log nibhate h rishte shayad
Mere ishq Ko teri zaroorat nhi h

Na tujhe khone ka dar h mujhe
Aur tujhe pane ki chahat nhi h

Khuda se phle sjda krti hoon  tera
Kaise kahu ishq mera ibadat nhi h

Ek tarfa hi shi pr sach ye nhi
Ki muqammal meri mhbt nhi h

@nu$h@





dgaa

Gairo se kya Gila kre hm
Hm to apno se haare h 
Jo baat gye Dil tukdo me
Wo Dil ke tukde hmare h

Jinse Wafa mangi thi
Dhokha wo bewafa de gye
Hmne to mhbt chahi thi
Wo nafarat ka tohfa de gye

Hm dhoondhte the Dushman khi
Mere yaar hi mujhe dga de gye
Hmne to kbhi thaga nhi unhe
shayad sacchi yaari ki saza de gye

Muskura kar de dete hm Jaan apni
Jo ek data hmse maang lete
Kusoor tumhara bhi kya tha
Agar dost sachhe hote hm
To tumhari aankhon se phchaan lete


@nu$h@


Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le