Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Mai khud ko khoti ja rhi hu.



Andhere ki gahraiyo me
Apni hi parchhaiyon me 
Mai gum hoti Jaa rhi hu
Mai khud ko khoti Jaa rhi hu


Tumse door Jane ke dar se,
Tumhe pass rakhne ki chahat me,
Mai khud se door hoti ja rhi hu
Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Drti hu aj kl mai aaine se,
Apni hi asliyat ke muyaine se,
Koi naqab odh liya h maine jhooth ka ,
Ya phir sach se beparda hoti jaa rhi.
Mai khud ko khoti Jaa rhi hu.

Tumse wafa nibhane ki chaht me 
Khud se bewafai ki h,
Tumko manane ki koshis me,
Khud se khafa hoti ja rhi hu
Mai khud ko khoti Jaa rhi h


Tham lo haath aur le chalo mujhe mere Jaha,
Jaha Mai , tum aur ishq aur koi n ho waha
Iss farebi si duniya me mai bhi farebi hoti Jaa rhi hu
Mai khud ko khoti Jaa rhi h

Ae Zindagi




Anjani si ek raah pr 
Teri ungaliyon Ko tham kar
Lekar sath umeedein nayi
Kar de shuru hm koi Safar
Thodi sararat Mai kru
Thodi himakat tu kre
Bs tanha mujhe tu n xodna ae Zindagi



Laute phir se n ghum koi
Kh de Alvida unhe iss kadar
Khushiya khi jo kho gyi
Dhundhe unhe  hm dr- b- dr
Koi jo kissa tu kahe
Koi kahani Mai bunu
Yu hi muskurati rhna tu ae Zindagi


Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le