meri yaado ki duniya

Kabhi takiye ke niche Dani huyi
Kabhi panno ke andar chhipi huyi
Hr baar mujhe Apne pass bula leti h 
meri yado ki duniya

Ehsaaso ke Jane kitne rang samete huye 
Bante bikharte rishto ke dhage lapete huye
Apne rangeen jalo me mujhe uljha leti h
Meri yaado ki duniya


Har gali hr sadak janti hu jiska
Pr nikalna mushkil h jo ek dafa bhatak jau
Kaid kr leti h ghumo ke pinjare me
Jo sikayato ki bediyon me atak jau
Meri AJ ki subah Ko ateet ke andhere me dafanati h 
Meri yaado ki duniya

Jitni Khoobsurat utni hi daravani
Kaid ho gyi hu jisme aisi ek kahani
Koi tham lo hath aur le aao bahar mujhe isse
Bhut buri h ye meri yaado ki duniya




q nhi bhul pati Mai tujhe


Jo de jate h naino ko Sukoon
Tu us sapne SA Mila tha mujhe
Jo kho gya tha Kahi bheed me
Tu us Apne SA Mila tha mujhe

Toot gye sare wo ek pl me hi
Jane kitne sang hmne sapne bune the
Jana ki hote h jhoothe sare
Ishq ke SB maine jo kisse sune the

Lamhe sare wo bs yaade bn gyi
Jane kaha wo pl kho gye
Kl tk the tum mera aj mera kl
Pl me kaise beeta kl ho gye

Tha wada Kiya baatne ka hr ghum
Phir Dard  kyu sirf Mila ye mujhe
Gr  bhulana hota h aasan itna
To q nhi bhul pati Mai tujhe





mere khwabo mein rhne wale



Mere khwabo mein rhne wale 
Tum khwabo mein hi rh jao to accha h

Tu ro leta h Dard mein mere
Teri khushiyon mein shamil hoon main
Hoon adhoori jahaan ke liye
Tujhse milkar hi to kaamil hoon main

Itni sari khamiya h mujhme 
Shak h ki tere kaabil hoon main  
Iss beraham matalbi duniya me bhi
Tu kaise itna acccha h 
Mere khwabo mein  rhne wale 
tu khwabo me hi rh jaye to accha hai



Auro ki trh sirf  jaroorat mein
 tu mujhe yaad nhi krta
Kaan kheech gltiya bta deta h 
meri buraiyan mere Baad nhi krta
Jhooth h ye tammanaye sari
Ek tera Arman hi saccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha h


Mere Apne kho gye h apni zindagi m yaara
Ab kisi Ko waqt mere liye kaha milta h
Sikayate aur gile kis kis se kre
In khwaabo me hi mukaammal jaha milta h
Thk gyi hoon khud Ko badl kr auro ke liye 
Ab tu bhi n mujhe aazmaye to acccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

Nafrt hi dastoore zamana h yha
Mhbt ki to muzrim karar zaroor kr diye jaoge
Zurm e ishq ki saza milegi huzur
Phir aashiqo ke Naam pr mashoor kr diye jaoge
Nhi Samajhta tu ab bhi baate Duniyadari ki
Tu bilkul Masoom SA baccha h
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai


Apni zindagi ki uljhno Ko mere Baad rkhta h tu
Kabhi mujhe tera intezaar nhi krna hota
Meri ankahi ansuni baate bhi samjh jata h tu
Har baat ka Tujhse ijhar nhi krna hota
Mere Raaz Ko Dil mein dafan ke leta h
Tujhpe shak kaisa tujhpe Aitbaar saccha h 
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai



Nhi bhati ye jaha e hakikat mujhe
Tu sng Apne khwabo me hi le jaye to accha hai
Mere khwabo mein rhne wale
 tu khwabo mein rh jaye to accha hai

@nush@







wo kaisa pyar



Yaaro pyar to wo hota h n Jo zindagi ko khoobsurat bnaye
Jo zindagi hi cheen le wo kaisa pyar
Pyar wo h Jo khushiyo ke rang bhar de
Jo dard bn til til tadpaye wo kaisa pyar
Pyar to qurbani ka naam h n
Kisi ko pane ki zid bn jaye wo kaisa pyar
Maa baap rishtedar apno ko chhodkar
Sirf ek insan se nibhaya jaye wo kaisa pyar
Pyar to zamane bhar se ldne ki takat deta h
Jo tumhe itna kamzor bnaye wo kaisa pyar
Pyar  to wo h Jo sahi raste dikhata h 
Jo galat kadam uthane pr uksaye wo kaisa pyar


Apni jaan qurban krne se nhi drte log
 Kaise pyar kisi ko itna junooni bna deta h 
Masoom zazbato ka kaatil h wo ishq
Jo ishq kisi ko apna hi khooni bna deta h










nafrat


Itne kaabil banenge ki 
Pachhataoge hme thukrane pr
Nazre bhi n mila paoge hmse takrane pr
Dekhege ye zamana bhi ki kya hota h
Jb mhbt kene wale utarte h nafrat nibhane pr

kagaz ki kashti


Mai kagaz ki kashti koi
Tu baarish ka pani h
Mai ek kirdaar hoon teri
Tu meri hi kahani h

Mai hoon ek boond jiska
Ishq ka samander h tu
Mai hoon Kori kagaz si
Mera muqqadar h tu


@nu$h@






wada


Yu hi hath thame tera mai chalungi umr bhar
 znmo tk ke liye teri bn jaungi hmasafar 
Kbhi nhi todungi wada jo tujhko diya 
Nibhaungi chahe khud jaun  Mai bikhar





@nu$h@

zindagani

Nirasha ki is andheri duniya me
Umeed ki roshni jagani h
Ghum ki gehrai tak
Ek muskurahat pahuchani h
Yhi zindagani h


Gir kar uthana hoga
Agar manzil jo pani h
Udaan ki uchai ki nhi
Kaatar pankho ki kahani h
Yhi zindagani h


Jise chah bulandiyo ki thi
Aur khauf tha rasto ka
Uske sangharsho ka fasana 
Us rahi ki zubani h
Yhi zindagani h



ye ishq kya h



Ye ishq kya h kisko pata h
Koi khata h koi ya koi saza h
Mukammal h ye phir bhi adhoora h
Koi dua h ya khud hi khuda h






@nu$h@

baarish ki boond

 In baarish ki boondo me
N jane kyu tu nazar aata h
Chhod jata h ek pyari tandhan
Inki trh hi jb chhoo ke guzar jata h
Jb hota h aas pass is boond sa
Dil duniya se bekhabar ho jata h
Tera khwab bhi iske jaisa hi h
Zameen pr girte hi bikhar jata h

Jis kadar ye boond patto pr
Waise hi mere dil me tu teher jata h
Hr baar ye baarish mere zehen me
Teri yaado ka basa seher jata h

@nu$h@


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं


बिखर कर चूर होता है शीशा, चट्टान नहीं 
टूट कर गिरते हैं तारे ,आसमान नहीं
टकराकर पर्वतों से दिशा बदलती है हवाएं, तूफान नहीं मुश्किल हालातों से हार मान लेते हैं कायर ,बलवान नहीं




@nu$h@


bewafa ki yaad

N koi sikwa h  hme zamane se
 N kismat  se  hmko Ko ruswai h
Zaroorat kisi aur ki hme kha
Kagaz h  ,Kalam h aur tanhai h
Mehtaab bhi hmse naraz lgta h
 Jo Badh  rhi Andhero ki gehrai h
Dhadkno ki tabiyat zra nasaz h
Ki shayad us bewafa ki yaad aayi h

AJ jashn e Dard manayenge hm
Ki phir Qayamat ki raat aayi h
Jiska zikr krne se drte h hm
Phir Hothon pr uski baat aayi h
Charche honge aj phir uski bewafai ke
Ha aj phir us bewafa ki yaad aayi h


Ek sargoshi phir unhi khayalon ki
Hmare zehn ke qatre qatre pr chayi h
Dilo dimag ki jng me jite koi bhi
Mukarrar ho gyi hmari tabahi h
Ho jaye gr khta koi maaf krna yaaro
AJ zazbaato me doobi roshnai h
Rukhsat kr Liya tha hmne yaado se jiski
Yaaro phir us bewafa ki yaad aayi h


@nu$h@


















ishq





Ek Khoobsurat ehsaas h jo
Dil ke behad pass h jo
Khud Ko bhool kr usko khuda bna Liya
Uske Didar Ko apni dua bna Liya
Kya kahe hm use pta nhi
Pr shayad ise hi ishq khte h



@nu$h@

bhut der kr di aane me


Meri Sanson ne ki gustakhi sabr todkr
Mai haar gyi tera intezaar nibhane me
Afsos Tod di tere sath mrne ki kasam maine
Kasar dhadkno ne bhi n chhodi mhbt aazmane me
Kamzor Dil seh n paya use khandar sa dhehta dekh
Ek arsa guzara tha jis aasiya Ko bnane me
Bhatakti rhi dar- b -dar tere aane ki umeed liye
Sjda Kiya dua mangi har ibadatkhane me
Aakhiri khwaish h tujhe gle lga kar rone ki
Sukoon  wo zannat me bhi nhi jo h tujhe gle lgane me
Koi sikwa nhi h bs ek khalish hai dil me
Yaar , bhut der kr di tune aane me 
Bhut der kr di tune aane me

maaf krna ae dost

Kabhi kabhi tujhe yu hi tng krti hoon 
Baate dher sari tere sang krti hoon
Kuch Bura lge to maf kr Dena ae dost
ki sang tere hi mai pure rang me hoti hoon

maaf karna mujhe isliye nahi
ki paxtawa h mujhe
balki isliye ki dubara chidhana h tujhe
fir se aur har baar satana h tujhe.
Roothna h tujhse aur manana h tujhe

Mujhe mujhse bhi zyada samajhne ke liye
Mujhse beintaha sa pyar jatane ke liye
Meri gltiyon pr mujhe daatne ke liye
Meri khamiyon ke saath mujhe apnane ke liye
Shukriya tera alfaazo me kru kaise
Is badkismat Ko khush qismat bnane ke liye




Newer Posts Older Posts Home

Gungunana hamari fidrat h

Mai khud ko khoti Jaa rhi hu

Dil ki Aawaj sun le